Friday, 7 September 2012

Tafakarism:


           





                           
                 
                    Sain Baglol vs Khudi
Seekhe nahi bandon say banda nawazi hum nay
 Hamain khudi khud sekhati hai khud batati hai.
            




            
             Bhalu Shah vs Khudi
Meri khudi k agay ye inamat kuch nahi
 Kuch nahi ye jahan kuch nahi ye sama.

            







         
          
         
        Sea vs World
Me khud say jo bahar aya
To dunya ko dabo dun ga.
 
                         
   

      Shomar kar mera bhe un meh khano mein
Jahan say penay valay ghar tak nahi pohanchtay.
               



                   
                   Give Me More
      Pe to jaon me dunya ka pani
Teray penay ko nahi bachay ga phir. 


































     
      Khudi 
 Mein or Mein
Fana hum ko kiya
Baqa mein khud raha
Ye kaisa insaf hai
Bay ka parda hata
Bay khudi door bhaga
Khudi mein khud A
Khudi ka maza chaka
Mazay mein maza kara
Tun to mera khuda
Tun ila me raha
Mein la me gaya
Mein kufar bol otha
Na day mujay saza
Mein tera hi raha
Jidar bhi mein gaya
Na huvay hum joda
Ye kya hai majra
Tun hai mujay bata
Khudi me khud A
Bas mein mein kara
Me toba kerta hun
Mujay maf ker day
Mein iman say gaya
Mera iman khud bacha
Khudi mein khud A
Bus mein mein kara.





 Teri deed jisay naseeb hai
Wo naseeb Qabile deed hai.
  
       

           















 


  


 
 

 
 
 




       












   



                           





Mujay kya say kya tum bana rahay ho
Ye raaz jo tum mujhay bata rahay ho.

For More
Visit   www.Tasawur1.blogspot.com 




No comments:

Post a Comment